Youtube par video kaise upload kare?
How to upload a video on YouTube?
Aaj ham mobile, se youtube, par video upload karna sikhenge.
Bahut se log, chahte he ki vo bhi youtube, par video, upload kare or paise kamay. Par unko ye pata nahi hota ki video ko youtube par kaise upload kare? To aaj me aapko is post me youtube video upload karna sikhaunga step by step.
Sabse pehle aap apne browser ko open kare or youtube.com par jay. Fir apne google account se singin kare.
Step 1.
Ab aapko scrin ke right side me upper ki taraf 3 dots, dikhenge unpe click kare jaisa mene scrin shot me bataya he.
Step 2.
Ab ek pop-up window khulegi jisme desktop, 💻select karenge to youtube ki site computer me show hoti he veisi dikhegi. Lekin aap chahe to mobile site, se bhi video's upload kar sakte he par me chahunga ki aap desktop site se upload kare.
Step 3.
Ab aapke mobile par desktop, 💻 vali site dikh rahi he. Ab aap right side me jaha aapke google account ka icon, dikh raha he vaha click kare.
Step 4.
Ab fir ek pop-up window khulegi jisme aapka channel dikhega usko select kare.
Step 5.
Ab jo page khulega usme right side me upper ki taraf upload ka icon dikh raha he us par click kare.
Step 6.
Ab dusra page khulega jo is scrin shot ke jaisa dikhega.
Ise follow kare.
1. Increase your limit. Yadi aapne channel ko verify nahi kiya he to yaha click kare or channel ko verify kare. Kyuki channel ko verify kiye bina aap 15 minute se bade (long) video's upload nahi kar sakte. Isliye channel ko verify.
2. Yadi aap google photos, se video upload karna chahte he to yaha se video import kare.
3. Yaha se aap live streaming kar sakte he. Iske liye gat started par click kare or steaming setup kare.
4. Create video. Yadi apne photo, ka slideshow banana he to yaha click kare.
5. Video editor. Yaha se aap videos ko edit kar sakte he. Agar video me aawaj nahi he to music ad kar sakte he. Or bhi bahut se fichers he isme.
6. Yaha se aap apne phone, ya computer, se select kar sakte he. Or jaha public likha huaa he vaha public hi rehne de. Agar parsnol select karenge to video ko aapke sivay or koi nahi sakta isliye public hi rehne de. Ab jab tak video upload nahi ho jay tab tak page ko yu hi rehne de.
Step 7.
Video select karne ke bad upload vala page khulega jaisa mene scrin shot me bataya he. Is scrin shot ko follow kare.
1. Yaha aapko video kitna upload huaa he vo dikhega.
2. Yaha apne video ka titel de. Jis topic par video he veisa hi titel de.
3. Yaha apne video ka description de. Is video ke bare me likhe ki isme kya he. Description bahut jaruri he search engine ke liye. Isse search engine, video ko jaldi search karta he.
4. Yaha par teg lagay. Yani ki aapke video ko search karne ke liye aap video topic ke hisab se teg, de. Jaise ki video agar cricket, ke bare me he to iska teg cricket, he.
5. Yaha apne video ko public kare taki koi bhi aapke video ko dekh sake.
6. Agar video ko atometic share karna chahte he to yaha click kare.
7. Video ke bare me koi massage dena chahe to yaha massage likhe.
8. Agar aapne ek hi topic ke bare me or bhi video's upload kiye huye he to yaha se video ko play list me ad kare.
9. Video upload hone ke bad yaha teen thumbnel dikhenge. Jaisa chahe vaisa thumbnel select kare. Thumbnel kya he?
10. Yaha se aap apni pasand ka thumbnel chun sakte he.
11. Yaha se apne video ko publish kare. Ab aapka video upload ho chuka he. Youtube monetization enable kaise karte yaha click kare
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें