Youtube channel kaise banay?


How to create YouTube channel? 

Aaj ham sikhenge youtube channel banana. You tube duniya ka dusra sabse bada search engine he.

Kya he YouTube? 

youtube par har roj lakho video's upload hote he. Or karodo arbo log youtube par video dekhte he.
Koi apna knowledge, share karta he to ko paise kamane ke liye karta he. Anginat log you tube se lakho rupay kamate he. Or koi koi to youtube se itne chamak jate he ki apne video se popular bhi ho jate he. Agar aap bhi youtube se paise kamana chahte he to ye post pade.Youtube par video kaise upload kare yaha click kare
Youtube aapko paise kyu deta he? Kyuki youtube par aapne dekha hoga ki video chalu hone se pehle ads, aati he vo ads, adsense, deta he.

To aapko bhi youtube channel bana ke usme kuch video upload karne he or youtube monetization enable kar ke ek adsense, account ke liye aavedan karna he. Jab aap youtube monetization page par jaynge to youtube aapko puchega ki monetization karne ke liye aapke pas ek adsense account hona jaruri he. Agar aapke pas adsense account nahi he to ek adsense account banay. Uske bad adsense account application bhare or submit kar de. Application bharne ke bad adsense aapke youtube channel ki samiksh karega. Agar aapne apne banay huye asli video upload kiye he to 2 ya 3 din bad aapka adsense account upruv ho jayga. Fir do ya char din bad adsense aapko ek mail bhejega ki aapka dsense account upruv ho chuka he. Fir aap apne video par ads dikha sakte he.

YouTube channel kaise banay? 

Sabse pehle browser, me Jay or youtube.com par Jay. Agar aap mobile phone me use kar rahe he to right side me upper option dikh raha he browser ki setting ka. Usme ja kar site setting me Jay or desktop view karenge to youtube site computer, ki scrin me dikhti he veisi dikhegi. Fir apne gmail account se youtube par login kare.
Login karne ke bad aapko right side me upper aapki gmail ID ka photo dikhega us pe click karenge to dikhega creator studio. Usme setting ka icon dikhega vaha pe click kare.
Us pe click karne ke bad dusra page khulega jisme likha he create a channel uspe click kare. Uske bad dusri scrin khulegi scrin shot me dekhe.
Yaha aapko scrin par mera name dikh raha he vaha sabse nichche dikh raha he use a business or other name. Us par click kare. Fir dusra page khulega jeisa niche scrin shot me dekh raha he. Vaha aap jis name se channel banana chahte he vo name likhe. Or create par click kare.


Congratulations aapka channel ban gaya he. Ab ham youtube ki dusri other settings karenge. Uske liye aap scrin shot ko follow kare.

1. YouTube logo. 

Loga lagane ke liye yaha click karenge to ek window khulegi jisme home google+ page khulega jiska logo change kare. Kyuki naya channel banane ke bad automatic google+ page ban jata he. To yaha se logo change kare.

2. Channel art. 

Channel art ad karne ke liye ad channel art par click kare. Yaha se apne channel ka channel art change kare. 

3. Description. 

Yaha aap apne channel ka description likhe jo bhi aap apne channel ke bare me likhna chahe.

4. Video manegger. 

Video manager me aap videos ko manage kar sakte he jaise edit, karna ya monetiz karna. Lekin uske pehle aapko apna channel verify karna he. To jaise hi video manegger par click karenge to dusra page khulega jisme aapko page ki left side me kuch options dikhenge usme se aapko channel vale option par click karna he. Jaise hi aap channel par click karenge to ek aisa page dikhega jaisa is photo me dikh raha he.
Yaha aapko channel ke status or ficherg dikh rahe he or channel ke name ke pas likha he verify. Iska matlab abhi aapka channel verify nahi he. Channel  verify karne ke liye verify par click kare. Fir jo page khulega usme apni country, select kare India, fir text me the verification code ko select kare. Fir apna contact number dale jis par 6 digit ka verification code aayga message dwara. Vo code vaha dalkar continue par click kare. Ab aapke channel par verifyd likha huaa dikhega. Dhyan rakhe channel ko verify kiye bina aap bade or long video's upload nahi kar payenge.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

पुष्कराज रत्न क्यू पहनते हैं?

गोल्ड ज्वैलरी बिजनेस कैसे करै how to start a gold jewellery business?

उपवास क्यू करते हैं?