Youtube monetization enable kaise kare or video ko monetize kaise kare or video ko monetize kaise kare?
YouTube monetization enable kaise kare or video ko monetize kaise kare?
Youtube ek aisa platform he jaha koi bhi paise kama sakta he. Lekin Jyadatar log youtube sirf video's dekhne ke liye use karte he. Or ho sakta he aap bhi yahi karte honge. Par kya aapne kabhi socha he ki aap bhi youtube se paise kama sakte he.
Ha kyu nahi aap bhi youtube se paise kama sakte he. Iske liye aapko youtube channel banana padta he or usme video's upload karke unhe monetize karke adsense se connect kar ke paise kama sakte he. Agar aapka youtube channel nahi he to pehle ek channel banay. Aaj me bataunga ki youtube monetization enable kaise kare or video ko monetize kaise kare.
Sabse pehle youtube par login kare. Uske bad youtube ka home page khulega usme left side me dikh rahe youtube option par click kare jaisa scrin shot me dekh raha he.
1: Jaise hi aap option par click karenge to dikhega my channel us par click kare. Fir aapka channel dikhega usme video manager dikhega us par click kare.
Fir ek dusra page khulega jisme left side me option dikhenge usme se aapko fir se channel vale option par click karna he.
Channel par click karenge to aapke channel ke features dikhenge jisme aapko monetisation vala option dikhega. Mene niche scrin shot me 3 sarkel banay he vo dekhe. 1 me likha huaa dikh raha he ki choose your country location before singing up for monetization. Or 2 dusre sarkel me ineligible dikh raha he lekin monetisation enable karne ke bad vaha eligible dikhega. Or 3 tisra sarkel khali he jisme kuch bhi likh huaa nahi he. Lekin jab monetisation enable kar denge to vaha enable dikhega. To abhi aap pehle choose your country location before singing up for monetization dikh raha he us par click kare.
Jaise hi aap uspe click karenge to ek dusra page khulega account information, jisme aapko pehle (1) option me apni country select karni he. Or dusre option me apne channel ke keyword ad kare or baki ke option dikh rahe he unhe veise hi rehne de or save par click kare.
Aapka youtube monetization enable ho chuka he. Ab aapko video monetize karne he.
YouTube video monetize kaise kare?
Ab aap fir se youtube ke home page par jay or options me jakar my channel silect kare. Fir video manegger par click karenge to scrin ki laft side me jo options dikhenge usme se channel ko select kare. Fir aapko Channel ke features dikhenge usme monetisation enable par click kare.
Niche diye huye scrin shot me dekhe jaha likha huaa he become a partner through monetisation by displaying ads on your video's. Or uske niche dekhe left side me eligible dikh raha he. Or right side me jaha pehle khali tha vaha enable likha huaa dikh raha he us par click kare.
Ab yaha pe ek window khulegi account status, jaha par likha huaa he to earn money from your video's. Uske niche mene jo sarkel banaya he usme likha huaa he get started us par click kare.
Fir ek pop-up window khulegi youtube partner program.
Isme terms and conditions pade uske bad jaha sarkel banaya he vaha charo jagah right mark kar de or accept par click kare.
Fir uske bad ek or pop-up window khulegi.
Jaisi niche vale scrin shot me dekh rahi he.
Yaha likha he ki apne video se paise kamane ke liye aapke pas ek adsense account hona jaruri he. To aap yaha set up adsense account uspe click kare fir adsense ki site open hogi vaha aap adsense account ke liye aavedan submit kare. Uske bad adsense aapke channel ka review karega. Agar aapne apne khud ke banay huye video upload kiye he to 2 ya 3 din me aapka adsense account upruv ho jayga. Fir apne channel ko adsense account se connect kare aapke videos par ad dikhne shuru ho jaynge.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें