Gold jewellery business me stock management kaise kare?



How to manage gold jewellery business in hindi? 

Aaj ham baat karenge gold jewellery business management ke bare me.
Koi bhi business ho uska management jaruri he. Varna aapko nuksan hi sehna padega.
Gold jewellery business me to aapko ek ek chij ka hisab rakhna padta he. Or roj ka kam roj karna jaruri he.
Is liye sabse pehle stock ka hisab kitab bahut ahem he. Chahe aaj aapne kuch becha ya nahi becha. Stock roj lena padta he. Is liye ye sikhna behat jaruri he ki gold jewellery business ko kaise manage kare.


Stock management. 

To sabse pehle ham baat karenge stock ki ki stock kaise rakhe. Iske liye aapko teen register, rakhne honge. Ek me weight ka stock. Or dusre me nang ginane ka stock. Or tisre me label yani tag ka.




Weight vale register me 4 colum, banay. Fast colum me new gold purchase. Second colum new gold sell. Thard colum old gold purchase. Or fourth colum old gold sell. Niche diye photo me dekhe.
Gold jewellery business management
Gold jewellery business management 
Dusre register me bhi 4 colum, banay. Pehle colum me vo date dale jis din label, lagaya ho. Dusre colum me number dale. Or tisre colum me us item ka weight likhe. Forth colum me selling date dale jis din vo item bikti he.
Label, ka stock yani dukan me jitni bhi aaitem he unko label lagana or us par item ka number or weight dalna. Or vahi number or weight register me bhi dalna he. Jaise ki ek chain, ko lable lagana he. To pehle us chain ka weight kare or label par likhe. Yadi chain 5gm ki he to label par likhe 5gm or 1 number dale. Is tarah agar aapke pas 20 chain he. To ek ek ko label lagay or sab ko 1 se 20 tak number de. Uske bad label pe jo weight or number likha he vahi register me likhe. Samajne ke liye ye photo dekhe.
Gold jewellery business management
Gold jewellery business management 
Ab tisra register item ke nang, ginane ke liye. Jisse ye pata chalega ki kitne nang (pcs) he aapki dukan me. Agar koi grahak chura le to ham usi vakt gin kar dekh sake ki kitne nang (pcs) the or kitne he. To hame aasani se ye pata chale ki grahak ne koi chij gayab ki he ya nahi. Is liye is register, me hame alag alag sari chijo ki ginati rakhni he. Jaise mangalsutra, kitne he. Chain, kitni he. Haar, kitne he. Tops, kitne he.


Niche diye huye photo me dekhe ki register kaise banana he.
Gold jewellery business stock management
Gold jewellery business stock management 
Ab is register ko daily sell, purchase, ke hisab se update karte rahe. 


Iske liye aapko ek chaat, banana hoga jisme roj ke sell or purchase ki puri ditel ke sath likhna he. Jaise ek chain, agar aap bechte he. To is tarah se likhna he jaise photo me he. Is photo ko dekhe. Left me sell, he. Or right side me purchase.
Gold jewellery selling format
Gold jewellery selling format 
Ye chaat, ek pode ki tarah he. Jisse sari sakhay, banti he. To aapko sabse pehle ye chaat banana he. Fir iske anusar sare register update karne he. Weight vala register, number vala register, or nang (pcs)  vala register. In sab me is chaat ke anusar sari intri karni he. Click here how to melt gold

टिप्पणियाँ

  1. Every weekend i used to pay a quick visit this web page, for the reason that i wish for enjoyment, since this this web site conations in fact pleasant funny material too. paypal login

    जवाब देंहटाएं

एक टिप्पणी भेजें

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Good jewellery business keise kare? how to start a gold jewellery business? सोने के आभूषणौ का बिजनेस कैसे करै?

Blogspot par blog kaise banay?

पुष्कराज रत्न क्यू पहनते हैं?