संदेश

नवंबर, 2017 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Gold jewellery business kaise shuru kare? How to start a gold jewellery business

चित्र
Gold jewellery business kaise start kare?  Gold necklace set  Ham baat kar rahe he gold jewellery business ke bare me ki aakhir gold jewellery business kaise shuru kiya jay. To fikar karne ki koi jarurat nahi he aaj ki post me jewellery business ke baare me puri jankari milegi aapko. How to start a jewellery business?  Gold jewellery business shuru karne ke liye jarurat hoti he paiso ki isliye ya to apne pas paisa hona chahiye ya fir koi investor jo is business me aapke bharose paise invest kare.  Kitne paiso ki jarurat hoti he is business me?  Hame yadi gold jewellery business shuru karna he to kam se kam 10 lakh rupay chahiye business start karne ke liye. Vaise to 10 lakh se kuch nahi hota par 10 lakh rupay se start kar sakte he. knowledge and experience. Jaise ki mane bataya ki 10 lakh rupay se start kar sakte he par hame start kis jagah se or kaise karna he ye pata hona chahiye. To hame sabse pahle to thoda bahut knowledge hona chahiye is business ka.

How to open Gold jewellery shop open karne ke 6 jaruri tips

चित्र
Step 1: investor. Investor, yani jo is business me aapke bharose paise invest kare or use bhi munafe ka hissa mile. Investor isliye jaruri he kyuki aapke pass yadi paise nahi he or knowledge, or kabiliyat, he to us investor ke support se business kar sakte he. Or ek baat hamesha yaad rakhe ki asli businessman vahi hota he jo dusro ke paiso se business karta ho. Kyuki paise invest karne vala to investor hota he businessman nahi. Yadi businessman paise invest karta hota to vo loan lene ki bajay apne sieving account paise jama karta.  Step 2: place. (जगह) Koi bhi retail shop open karne ke liye achchi or bhid -bhad vali jagah honi chahiye jisse hame jyada grahak mile. Or market aisa hona chahiye jaha ledies customers jyada ho or hamare business par fit bethta ho.  Step 3: shop.  Shop esi ho jiska eria kam se kam 150 square feet ho or kapde ki dukano ya jewellery ki dukano ke pass ho. Aisa nahi ki hardware or ceramic ki shop ke pass ho kyuki vah