How to open Gold jewellery shop open karne ke 6 jaruri tips

How to start a gold jewellery business



How to open our jewellery shop


Step 1: investor.

Investor, yani jo is business me aapke bharose paise invest kare or use bhi munafe ka hissa mile. Investor isliye jaruri he kyuki aapke pass yadi paise nahi he or knowledge, or kabiliyat, he to us investor ke support se business kar sakte he. Or ek baat hamesha yaad rakhe ki asli businessman vahi hota he jo dusro ke paiso se business karta ho. Kyuki paise invest karne vala to investor hota he businessman nahi. Yadi businessman paise invest karta hota to vo loan lene ki bajay apne sieving account paise jama karta. 


Step 2: place. (जगह)

Koi bhi retail shop open karne ke liye achchi or bhid -bhad vali jagah honi chahiye jisse hame jyada grahak mile. Or market aisa hona chahiye jaha ledies customers jyada ho or hamare business par fit bethta ho. 


Step 3: shop. 


Shop esi ho jiska eria kam se kam 150 square feet ho or kapde ki dukano ya jewellery ki dukano ke pass ho. Aisa nahi ki hardware or ceramic ki shop ke pass ho kyuki vaha par jyadatar gents customers hi aate he. 

Step 4: interior (furniture). 

Kisi bhi shop ka aakarshan hota he uska interior jisse grahak aakarshit ho or shop me visit kare. Furniture jyada tadak bhadak hone ki bajay simple or saf sutra dikhe vaisa ho. 

Step 5: license. 


Gumasta gst or bis hallmark ka license hona jaruri he. License ke liye aap shop open karne ke bad bhi apply kar sakte he. Ye kam aap kisi agent se karwa sakte he jisse aapka time bhi west na ho or kam bhi jaldi ho. 

Step 6: purchase. 


Ab jewellery purchase kare jaisi vaha ki public ki demand ho vaisi. Jewellery khud banane ki bajay readymade bani banai jewellery purchase kare jisse aapko jyada pareshani na ho business startup ke liye. Ek bar start karne ke bad jaisi sohliyat ho apna khud ka jewellery workshop bhi khol sakte he.Gold jewellery business kaise kare

Umid karta hu ki ye jankari aapko achchi lagi yadi ha to comment karke jarur batay.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

गोल्ड ज्वैलरी बिजनेस कैसे करै how to start a gold jewellery business?

पुष्कराज रत्न क्यू पहनते हैं?