KDM gold jewelery kya he or kaise banta he?

Kya he KDM gold jewelery? 
KDM gold jewelery kaise banate he?

Is post me ham ye janenge ki KDM Gold kya he? kyuki kabhi bhi gold jewellery kharidne jate he to jewellers yahi puchta he ki KDM Jewellery chahiye ya hallmark. To grahak ke liye ye janna behad jaruri he ki aakhir KDM jewellery he kya.

KDM kya he? 

KDM Ek dhatu he jo kam tapman me pigal jata he or gold nahi pigalta. Isliye jaha joint karna hota he vaha kdm se joint karte he. Or ab to kdm ko bis ne ban kardiya he kyuki kdm se skin cancer ki bimari hone ki sambhavna hoti he.

Jewellery me joint kaise hota he? 

Jewellery me joint karne ke liye thoda gold side me nikal kar usme kdm dhatu mix karke shoulder banate he. Fir jaha par jewellery ko joint karna hota he vaha us ko rakhkar garam karte he jo gold se kam tapman me melt ho jata he or jewellery ko koi nuksan nahi hota kyuki utne tapman me gold melt nahi hota.

Kyu kharide hallmark gold? 

Grahak ko kabhi bhi bis hallmark, gold jewellery hi kharidni chahiye kyuki isme sone ki shuddhta ki garranty, hoti he ki jo purity, jewellers grahak ko bolta he utni hi hoti he usme dukandar joljal nahi kar sakta. Yadi koi jewellers kahe ki KDM jewellery kharido to aapko nahi kharidni chahiye kyuki usme aapko kaise pata chalega ki gold ki purity kya he. Kdm koi quality nahi he gold ki. Gold ki quality sirf karat me hoti he jaise 14ct, 18ct, 22ct.




KDM jewellery ke name par 18ct gold de dete dukandar. 

KDM jewellery ke name par dukandar grahak ko 20ct, or 18ct, or usse bhi kam karat ka sona bech dete he. Or bhav bhi 24ct, ka le lete he or uppar se majuri bhi lete he. Isliye gold jewellery purchase karte samya ye jarur puche ki 24ct gold ki rate kya he. Fir khud calculation karke dekhe ki 22ct gold ka rate kya he. Calculation kaise karte he ye me batata hu. Jaise ki aaj 24ct gold ka rate he 30000 prati 10grm. To 30000 hajar ko 24 ka bhag kare fir usko utna guna kare jitne karat ka gold aap kharid rahe he. Yadi 22ct ho to 22 guna karde or 18ct ka ho to 18 guna kare fir usme 4ya5 present amount or jod de kyuki jewellery banane me gold wastage bhi hota he. To is tarah se 22ct new jewellery ki rate hoti he 29100 fir uske uppar majuri lagti he.




Juna sona bechte samay in baato ka rakhe khyal. 

Juna sona badli karte samay bahut se dukandar 22ct ka bhav hi dete he or usme se bhi ye ke kar 8% kat dete he ki 22ct gold ki purity 91.6% hi hoti he. Jabki vo rate 22ct ka hi dete he to uske bad or 8% nahi katna chahiye. Jabki hakikat to ye he ki 24ct ke rate me se hi 8% kam kaya jana chahiye 22ct ke rate me se nahi. Kabhi bhi 22ct ki new jewellery kharidte samay ye dhyan rakhe ki jeweller aapke gold ki or uaske gold ki same rate pakadta he to usme se or 8% kam nahi karne de. Agar vo 8% kam karta he to rate 24ct ka pakde fir 8% kam karvay. Jaise maan le ki 24ct gold ki rate 30000 he to usko 24 ka bhag de fir 22 guna karenge to aapke june sone ki rate hogi 27500.



Grahak confused ho jata he kyuki sonar ye kehta he ki rate aapke or mere gold ki same hi he par purity 92% he isaliye 8% katega. Or grahak bhi ye samaj lete he ki ha mere gold ki jo purity he utna to ye muje de raha he. Jabki grahak ye samaj nahi pata he ki rate bhi to 22ct ka hi de raha he fir usme se or 8% kyu kat raha he.
Yadi janna chahte he ki kaise tay hote he bharat me gold ke daam to yaha click kare

Yedi ye jankari achchi lage to comment karke muje jarur batay or apne friends ke sath bhi share kare. 



टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

गोल्ड ज्वैलरी बिजनेस कैसे करै how to start a gold jewellery business?

पुष्कराज रत्न क्यू पहनते हैं?

How to open Gold jewellery shop open karne ke 6 jaruri tips