Blogspot par blog kaise banay?
Apni free blogging website kaise banay? Blogspot par aap apni free website bana sakte he. Blogger par aapko domain name kharidne ki jarurat nahi he. Blogspot aapko free domain provide karta he. Yaha aap apni free website bana sakte he or agar aap custom domain use karna chahe he to bhi kar sakte he. Domain kya he? Domain website ka pata hota he. Jaise .com, .in, .net, .co.in, or alag alag country ke hisab se bhi hote he. Jaise india ka .in, pakistan ka .pk, ye sab domain name he. To apni website bana kar aap bhi apni online pehchan bana sakte he. Aaj ke samay ki mang he is liye kisi bhi insan ko online pehchan banana jaruri he. Kyuki aaj ki tarikh me har insan online he fir chahe vo facebook, twitter, instagram, ya online shopping ho. Insan online kam karna pasand kar rahe he. To kyu na aap bhi apni ek website banay. Aaj me aapko blogspot par free blog kaise banay uski jankari dunga. Blogspot blog kaise banay? Blogspot par ...