18 ct gold kaise banate hai
18Ct Gold Jewellery earrings
18 CT gold ke dagine (jewellery) banane ke liye sonar 24 CT Gold, ko 18 ct, kaise banate he iski puri jankari lene ke liye is post ko pura pade.
18Ct Gold Jewellery |
kya karta he sonar 18ct jewellery banane ke liye
18 CT gold ke dagine (jewellery) banane ke liye sonar 24 CT Gold, ko 18 ct, kaise banate he iski puri jankari lene ke liye is post ko pura pade.
18Ct. Gold ki jewellery banane ke liye sonar ko 24 CT gold me coper or silver mix karna hota he. Par ham pahle ye jan le ki 24 ct gold kya hota he?
24ct gold yani pura 100% gold hota he. Use 24 bhag me divide kare to har 1ct me 4.1666% gold hota he. To is hisab se 4.1666 ko 18 guna kare to 75% purity hoti he. Ab aap ye to samaj gay ki 18 CT gold me kitne % gold hota he or kitna usme mix Karna hota he.
999 24ct gold coin |

To hame ab 100% gold me 25% chandi (silver) or tamba (coper) mix karna he. Par usme chandi (silver) kitni or tamba (coper) kitna mix karna he dono ki matra barabar rakhe ya kam jyada? to ye aapke upar he ki aap gold ko soft rakhana chahte he ya hard. Silver ki matra coper se jyada rakhenge to gold soft or light yellow colour ka banega. Or coper ki matra jyada rakhenge to hard or dark yellow colour ka banega to aapki jaisi jarurat ho vaise rakh sakte he.
Calculation.
Ab yadi aapko 10gm 24ct gold (sona) ko 18Ct karna he to kaise karenge? iske liye aapko hosab (calculation) aana chahiye. To aap calculator se 10gm 24ct gold ko bhajak 75 karenge to calculator me aayega 0.13333333 fir usko 100 guna kariye to 13.333333 aayga ab isme se 10gm kam kar de jitna aapke pas 24ct ka tha ab baki bachega 3.3333 itna aapko mix karna he. Yadi 100gm ka kare to 100÷75×100=133.333333-100=33.3333
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें