Bharat me gold ki kimmat kaise tay hoti he?
Yadi aap bharat, me sone, (gold) ke damo par gor karenge to paynge ki desh ke har shahar me sone ke bhav, alag alag he. Kai sheharo me sona mahenga hota he to kai shehro me sasta. To bharat, me sone ke bhav aakhir kaise tay hote he, aaiye jante he.
Sone ke bhav antrashtriya bhavo par nirbhar karte he is liye jab sone ke antrashtriya bhav badte he to kai shehro me sona jyada mehanga hota he. Hamare yaha sone ki khane jyada nahi he. Hame apni jarurat ka sona aayat karna padta he. Bharat me sarkari or niji bank sona aayat karte he, sath hi kuch agency's bhi he jo ki videsh se sona kharid kar dilers ko bhejte he. Aayat karne valo ki sochi badalti rehti he or sarkar isme badlav karti rehti he.
Bharat me sona kon lata he?
State bank of india, bank of baroda, mineral or metal treding carporetion, union bank, syndicate bank aadi sone ke aayatak he. Bharat me 38 bank he jo sona videsho se kharidti he. Bad me ye bank sone ki antrashtriy kimat ka hisab lagakar use bharat ki mudra me badalti he fir us par aayat shulk laga dete he. Is tarah iska bharat me sone ka bhav tay hota he.
Ye antim khudra bhav nahi he.
Kimte shahro ke buliyan association dwara nirdharit hoti he, jaise ki mumbai. Udahran ke liye mumbai me i.b.a.j. (indian buliyan jewellers association), sone ke dillors ka association he jaha unke dwara kimate nirdharit hoti he bad me inhe ritelars tak bhej diya jata he. Iske bad ret ko puri tarah nirdharit karne ke liye ye bade dillors se sampark karte he or bhavishya ki kimte tay karte he.
Sone ke bhavo ki ganana kerne ke anya tarike.
Sone ke bhav tay karne ke anya tarike bhi he. Aap sone ke antrashtriya bhav lekar usme dollar ke mukable rupay ki kimat ko guna kar sakte he. Bank sona aayat, vat, oqtroy or local kharche nikalkar isse munafa karte he. Isliye ek jeweller ki dukan par aap jo bhugtan karte he usme gadai ke charges (mecking change) ke sath ye sab chije bhi judi hoti he.
Alag-alag shehro me sone ke bhav alag-alag kyu hote he?
Alag-alag rajyo me sone ke bhav alag-alag hote he. Kuch rajyo me transport cost ya parivahan lagat jyada hoti he. Kuch log mante he ki mumbai, Chennai or kolkata jaise shehro me sone ke bhav kam hote he kyuki vaha ke bandargaho par sona sidha pahuchta he or anya lagat bach jati he. Keval ye hi karan nahi he kuch anya karan bhi shehro me sone ke in bhavo ko prabhavit karte h.
Vinimay ki bhi mahatvapurn bhumika he.
Sone ke bhav tay karne me currency bhi mahatvapurn bhumika ada karti he. Udaharan ke liye, jaise hame sona aayat karna hota he or iska bhugtan dollar se karna hota he. Ab yadi rupay ki kimat dollar ke mukable 67 rupay se girkar 68 rupay ho jati he to hame sone ke liye 1 rupaiya jyada dena padega. Jitna jyada sona aayat kiya jayga videshi vinimay yani foren currency exchange reserve bhi desh me utna hi jyada flow karega. Click here 18Ct Gold kaise banta he
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें