How to start a gold jewellery business gold jewellery business kese shuru kare?
How to start a gold jewellery business in hindi?
Gold jumka |
Gold jewellery business ki basic jankari hamne pichli post me di he.
Jewellery business karne ke liye kitne paise hone chahiye or kya kya karna he. Post ki link Gold jewellery business kese kare how to start a gold jewellery business in hindi
Koi bhi business karne se pehle uske bare me puri jankari leni chahiye. Isi liye pichli post ko bhi pade.
Kharidi kaise kare?
Gold jewellery ki kharidi me chote dagine 75 hallmark yani 18 carat vale. Or badi jewellery jinka weight 5gm se jyada ho. Vo 91.6 hallmark yani 22 carat vale kharidne he.
Gold jewellery ki kharidi me chote dagine 75 hallmark yani 18 carat vale. Or badi jewellery jinka weight 5gm se jyada ho. Vo 91.6 hallmark yani 22 carat vale kharidne he.
Lagbhag 275gm gold jewellery aapko teiyaar rakhni he. Or usme sari chije kharidni he. Kyuki dagine bahut tarah ke hote he. Jese kan me pahenane ke kai prakar ke aate he 1: Tops, 2: Suidhaga, 3: Bali, 4: Latkan, 5: Bugdi,
Gold tops |
Gold Kanvel |
Gold necklace |
Gold kanvel |
Gold kanwel |
Gold ki kharidi aapko zaveri bazar, se karni he. Jiese maharashtra me zaveri bazar mumbai me mumba devi me he.
Uske bad aapko kuch nakli dagine rakhne honge. Jese bantax, ki nakli roll gold jewellery. Usme se design pass karva ke order se banvakar de sakte he.
Achche achche catalog, rakhe. Koi bhi girak jab bhi badi vastu kharidta he to vo order se banvakar hi leta he. To aap badiya badiya catalog rakhe jisme achchi designe ho.
Apni dukan ka achcha sa visiting card, banay. Or opening karne se pehle pemplet, chapvay or apne pas pados ke ilake me bate.
Gold jewellery business me sabse jaruri he ki aap quality, ke sath kabhi compromise nahi kare. Apne girak ko achchi quality de or unka viswas jite. Kyuki gold jewellery business me viswas hona bahut jaruri he.
Or ek bat ka dhyan rakhe ki udhar har kisiko nahi de. Kyuki kam kamaynge vo chalega par nuksan nahi hona chahiye.
Or juna sona kharidne se pehle use achchi tarah se check kare. Agar juna sona hallmark ka he to ye jarur dekhe ki 75 hallmark he ya 91.6 ka.
Or juna sona kharidne se pehle ye dhyan rakhe. Ki aap jo sona kharid rahe he uska bill ho. Bina bill ka sona kabhi nahi kharide kyuki vo gold chori ka bhi ho sakta he. Or bill hone ke bad bhi ye dekhe ki bill kiske name ka he. Kyuki bill bhi usi ke name ka hona chahiye jo is sone ko bechne aaya ho. Gold jewellery business lalach me aakar kabhi mat kare. Jewellers ke business me fasane vale log girak bankar aate he unse savdhan rehna.

Hamesha satark rehe. Kyuki jab nuksan hota he to pure mahine ya saal bhar ki kamai chali jati he.
Gold ki majuri aap prati gram ke hisab se le. Jeise 350gm. Se 750 tak bhi ho sakti he. Majuri dagine ki design ke hisab se kam bhi ho sakti he or jyada bhi. Aage ki jankari ke liye yaha click kare how to sell
Agli post me or jankari dunga jarur padna you tube video bhi dekhe
Thanks Bhai
जवाब देंहटाएं