संदेश

सितंबर, 2017 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

18 ct gold kaise banate hai

चित्र
       18Ct Gold Jewellery earrings 18Ct Gold Jewellery  kya karta he sonar 18ct jewellery banane ke liye  18 CT gold ke dagine (jewellery) banane ke liye sonar 24 CT Gold, ko 18 ct, kaise banate he iski puri jankari lene ke liye is post ko pura pade. 18Ct. Gold ki jewellery banane ke liye sonar ko 24 CT gold me coper or silver mix karna hota he. Par ham pahle ye jan le ki 24 ct gold kya hota he?  999 24ct gold coin 24ct gold yani pura 100% gold hota he. Use 24 bhag me divide kare to har 1ct me 4.1666% gold hota he. To is hisab se 4.1666 ko 18 guna kare to 75% purity hoti he. Ab aap ye to samaj gay ki 18 CT gold me kitne % gold hota he or kitna usme mix Karna hota he. To hame ab 100% gold me 25% chandi (silver) or tamba (coper) mix karna he. Par usme chandi (silver)  kitni or tamba (coper) kitna mix karna he dono ki matra barabar rakhe ya kam jyada? to ye aapke upar he ki aap gold ko soft rakhana chahte he ya hard....