Bharat me gold ki kimmat kaise tay hoti he?
Yadi aap bharat, me sone, (gold) ke damo par gor karenge to paynge ki desh ke har shahar me sone ke bhav, alag alag he. Kai sheharo me sona mahenga hota he to kai shehro me sasta. To bharat, me sone ke bhav aakhir kaise tay hote he, aaiye jante he. Sone ke bhav antrashtriya bhavo par nirbhar karte he is liye jab sone ke antrashtriya bhav badte he to kai shehro me sona jyada mehanga hota he. Hamare yaha sone ki khane jyada nahi he. Hame apni jarurat ka sona aayat karna padta he. Bharat me sarkari or niji bank sona aayat karte he, sath hi kuch agency's bhi he jo ki videsh se sona kharid kar dilers ko bhejte he. Aayat karne valo ki sochi badalti rehti he or sarkar isme badlav karti rehti he. Bharat me sona kon lata he? State bank of india, bank of baroda, mineral or metal treding carporetion, union bank, syndicate bank aadi sone ke aayatak he. Bharat me 38 bank he jo sona videsho se kharidti he. Bad me ye bank sone ki antrashtriy kimat ka his...